Saturday, July 11, 2009

KaunJako rakhe saiya maar sake na koi'

Aaj maine ak asi aurat ke bare me samahar patra me pada. Jisne apni navjat bachi ko talab me fekne ke koshish ke. Magar wo kahte hai na ki ' Jako rakhe saiya maar sake na koi';Ab apni bachi ko fekne ke peche kya karan raha hoga, yah to wo aurat he jane. Magar isse yeh bat sabit hoti hai ke, chahe 20vi sadi ho ya fir 21vi sadi ladkiyo ko aaj bhi ak bojh hi samjha jata hai. Kisi ne use paap ki nishani bola to kisini ne use bad kismat kaha, Ab Bloggers aap hi batayian ke, is sab me us nav jat ka kya dosh. Kya is tarah anchahe bachhe ko kachare me daal par sirf wo maa doosi hai, jisne apni hi santan ko janma diya aur feke diya, ya phir ye samaaj jo ise bachho ko sahaj he nahi swekarta.

No comments:

Post a Comment